Bitcoin ka highest price range tha 64000 USD per Bitcoin. lekin latest crash ke baad abhi ye 31 USD ke rate me trade kar raha hai. Is latest crash ke peeche do main reason hai.
1. China ne cryptocurrency me trading and all activities ko ban kiya hai.
2. Elon musk ki company Tesla jo self-driven electric car ka business karti hai, usne pehle Bitcoin pe payment accept karne ki baat ki thi. lekin baad me shareholders ke pressure ke wajah se Tesla ne ye step wapas le liya aur kaha ki Bitcoin se payment accept nahi karegi .
Ye do main reason hai ki Crypto crash hua hai.kyun ki koi bhi currency tab valuable hoti hai jab usse kuch khareeda ja sakta hai.lekin Bitcoin abhi bhi bahot saare transaction me supported hai.isliye is crash ko ek temporary crash kaha jaa sakta hai.Investors ko abhi lag raha hai ki iska inherent value bahot zyada hai. aur crash ki wajah bhi yehi hai.